tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha

written by


« Reload image

tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha
barabar hai duniya ko dekha na dekha


mera guncha-e-dil hai woh dil-girifta
k jis ko kaso ne kabhi wa na dekha


aziat, musibat, malamat, balayen
tere ishq main ham ne kya kya na dekha


kiya mujh ko dagon sarw-e-chiragan
kabho tu ne akar tamasha na dekha


tagaful ne tere ye kuch din dikhaye
idhar tu ne lekin na dekha, na dekha


hijab-e-rukh-e-yar the ap hi ham
khuli ankh jab, koi parda na dekha


shab-o-roz aye "Dard" darapai hun us ke
kaso ne jise yan samjha na dekha

© Khwaja Mir Dard