mera ji hai jab tak teri justaju hai

written by


« Reload image

mera ji hai jab tak teri justaju hai
zaban jab talak hai yahi guftagu hai


Khuda jane kya hoga anjam is ka
main besabar itna hun wo tund khu hai


tamana hai teri agar hai tamana
teri arzu hai, agar arzu hai


kiya sair hamne gulzar-e-duniya
gul-e-dosti main ajab rang-o-bu hai


ganimat hai ye did wa did-e-yaran
jahan mund gayi ankh, main hun na tu hai


nazar mere dil ki pari "dard" kis par
jidhar dekhta hun wahi ru-ba-ru hai

© Khwaja Mir Dard