Gham Raha Jab Tak

written by


« Reload image

Gham raha jab tak k dam main dam raha
dil k jane ka nihayat gham raha

husn tha tera bahot alam fareb
khat k ane par bhi ik alam raha

mere rone ki haqiqat jis main thi
ek muddat tak wo kagaz nam raha

jama-e-eharam-e-zahid par na ja
tha haram main lek na-mahram raha


© Meer Taqi Meer