munh taka hi kare hai

written by


« Reload image

munh taka hi kare hai jis-tis ka
hairat hai ye aina kis ka

sham se bujha bujha sa rahta hai
dil hua hai chirag muflis ka

the bure mugabachon k tewar lek
shaikh maikhane se bhala khiska

faiz-e-abr chashm-e-tar se utha
aj daman wasi hai is ka

tab kis ko jo hal-e-'Mir' sune
hal hi aur kuch hai majalis ka


© Meer Taqi Meer